Udaas Dil Hai – Two Lines Poetry
Udaas dil hai magar milta hun har aik shakhs sey hans kar Yahi aik fun seekha hai bohot kuch kho jaaney ke baad
Udaas dil hai magar milta hun har aik shakhs sey hans kar Yahi aik fun seekha hai bohot kuch kho jaaney ke baad
Jab meri zaat sey jee bhar jaaey tou bata dena Main aankh sey aansoo ki tarah khud hi nikal jaaun ga
Kar lee na tassalli tum ney dil torr kar mera Main na kehta tha kuch nahi is mein tere siwa
Main ney maut ko dekha tou nahi Par shaid wo bohot khubsoorat hogi Kambakht jo bhi us sey milta hai Zindagi chor deta hai
Ehsaas khatam, jazbaat khatam Dil tootay, jaan chootey…
Koi bahaana na chora paas tere aaney ke liye Koi kasar nahi chori tujhe paaney ke liye Ab tu miley ya na miley, ye muqaddar ke baat hai Warna main ney tou koi dard nahi chora Apna ye sar jhukaaney ke liye
Hamein samjhaao na Mohsin, hamein maaloom hai sab kuch Mohabbat mashwara hoti tou tum sey puch kar kartey
Teri khushi na ho shaamil, tou phir khushi kia hai Tere baghair jo guzrey wo zindagi kia hai
Tujhe bhulaana nahi mumkin, iss ka taqaaza nakiya kar Aankhein andhi bhi ho jaaein tou aansoo nahi ruka kartey
Koee ikhlaaq ka taalib, koi deewaana hai chehrey ka Mohabbat kaun karta hai, adaaein peecha karti hain